Poetry 1-Main Khush Hu Apni Khamoshi Me (HINDI)
Main Khush Hu Apni Khamoshi Me;
Mujhe Khelna Psand Nahi Zazbaaton Se,
Mujhe Uljhana Psand Nahi Baaton Me,
Mujhe Nahi Yakeen In Do Pal Chahton Pe,
Jo Dam Tod Deti Hain,
Kisi Aur Ke Aane Ki Aahton Pe,
Main Khush Hu Apni Khamoshi Me,
Is Bin Nashe Ki Madhoshi Me,
Bahut Sukoon Hai In Barsaaton Me,
In Chandni Bhari Raaton Me,
Mujhe Nahi Tamanna Kisi Ki Baahon Ki,
Mujhe Dafan Hona Psand Hai,
In Khamosh Raahon Me,
Main Khush Hu Apni Khamoshi Me,
Is Bin Nashe Ki Madhoshi Me.
Poetry 2-Yun Toh Meri Kahani Me (HINDI)
Yun Toh Meri Kahani Me 'Kirdaar' Bahut Hain,
Chod Aayi Hun Kuch Kirdaar Piche Raahon Me,
Kyunki Wo 'Lachar' Bahut Hain.
Par Aaj Jo Kirdaar Hai Mera,
Wo Pichle Sab Se Alag Hai,
Kehta Hai Maaf Kar Sabko, Yaar !
Sab 'Beemar' Bahut Hai,
Aur Chal , Kuch Ban Ke Dikha Abh,
Kyunki Chukane 'Udhar' Bahut Hai.
Samjhta Hai, Sapno Ko,
Aur Aapno Ko Bhi,
Kyunki Yeh Kirdaar Mera,
'Jimedaar' Bahut Hai..
Poetry 3-Kaun Kisi Ke Rulane Se Rota Hai (HINDI)
Kaun Kisi Ke Rulane Se Rota Hai,
Insaan Toh Rota Hai,
Apni Khwaisho Pe;
Kuch Galtiyon Pe,
Kuch Mastiyon Pe,
Un Char-Din Ki Hastiyon Pe;
Kuch Halaton Pe.
Kuch Maslon Pe,
Kuch Logon Ki Naklon Pe;
Kuch Kisson Pe,
Kuch Kahaniyon Pe,
Kuch Logon Ki Beimaniyon Pe;
Kuch Rihayon Pe,
Kuch Zanzeeron Pe,
Kuch Khuda Ki Likhi Lakeeron Pe;
Kuch Cheezon Pe,
Kuch Logon Pe,
Kuch Haath Se Nikle Hue Maukon Pe;
Kaun Kisi Ke Rulane Se Rota Hai,
Insaan Toh Rota Hai,
Apni Chahton Pe,
Apni Khwaishon Pe,
Aur Kuch Logon Ki Ranjeeshon Pe..
@copyright by quotesfromlife.
0 Comments